mere azizo, mere rafiqo meri communism se ho khaif meri tamanna se dar rahe ho magar mujhe kuchh gila nahin hai tumhaari ruhon ki sadgi se tumhaare dil ki sanam-gari se mujhe ye mahsus ho raha hai ki jaise begana hawa bhi tak tum apne andaz-e-dilbari se ki jaise waqif nahin abhi tak sitamgaron ki sitamgari se fareb ne jin ke aadmi ko haqir o buzdil bana diya hai haqiqaton ke muqable mein farar karna sikha daya hai tumhein ye jis din pata chalega hayat rang-e-hina nahin hai hayat husn-e-butan nahin hai ye ek khanjar-ba-kaf karishma ek zahrila jam-e-mai hai hamari piri ho ya jawani malul o afsurda zindagani shikasta-e-naghma shikasta-e-nai hai tumhein ye jis din pata chalega tassubaat-e-kuhan ke parde tumhaari aankhon mein jal-bujhenge ye tum ne kaise samajh liya hai ki dil mera ishq se hai khali meri nazar husn se hai aari qarib aao tumhein bataun mujhe mohabbat hai aadmi se mujhe mohabbat hai zindagi se mujhe mohabbat hai mah-jabinon se, gul-rukhon se saman-e-baron se kitabon se, rotiyon se, phulon se pattharon se, samundaron se meri nigah mein base hue hain hazar andaz-e-dil-rubai main apne sine ko chaak kar ke agar tumhein apna dil dikhaun to tum ko har zakhm ke chaman mein hazar sarw-e-rawan milenge udas maghmum wadiyon mein hazar-ha naghma-khwan milenge hazar aariz, hazar shamen hazar qamat, hazar ghazlen subuk-kharaman ghazal jaise hazar arman hazar umiden falak pe taron ke jal jaise magar koi tode de raha hai larazti mizhgan ke nashtaron ko dilon ke andar utarta hai koi siyasat ke khanjaron ko kisi ke zahrile tez nakhun uqab ke panja-ha-e-khunin ki tarah aankhon pe aa rahe hain gulab se tan misal-e-bismil zamin par tilmila rahe hain jo pyas pani ki muntazir thi wo suliyon par tangi hui hai wo bhuk roti jo mangti thi salib-e-zar par chadhi hui hai ye zulm kaisa, sitam ye kya hai main sochta hun ye kya junun hai jahan mein nan-e-jawin ki qimat kisi ki ismat, kisi ka khun hai tumhin batao mere azizo mere rafiqo, tumhin batao ye zindagi para para kyun hai hamari pyari hasin zamin par ye qatl-gah ka nazara kyun hai mujhe batao ki aaj kaise siyah barud ki lakiren katile kajal, sajile surme ke bankpan se ulajh gai hain khizan ke kanton ki ungliyan kyun har ek chaman se ulajh gai hain mujhe batao lahu ne kaise hina ke jadu ko dho diya hai hayat ke pairahan ko insan ke aansuon ne bhigo diya hai bata sako to mujhe batao ki saz naghmon se kyun hain ruthe bata sako to mujhe batao ki tar kyun pad gae hain jhute mere azizo, mare rafiqo meri communism kuchh nahin hai ye ahd-e-hazir ki aabru hai meri communism kuchh nahin hai ye ahd-e-hazir ki aabru hai meri communism zindagi ko hasin banane ki aarzu hai ye ek masum justuju hai tumhaare dil mein bhi shayad aisi koi jawan-sal aarzu ho koi ubalti hui surahi koi mahakta hua subu ho zara ye samjho mere azizo mere rafiqo zara ye socho tumhaare qabze mein kya nahin hai tumhaari thokar se jag uthegi tumhaare qadmon mein jo zamin hai bas ek itni kami hai yaro ki zauq begana-e-yaqin hai tumhaari aankhon hi mein hai sab kuchh tumhaari aankhon mein sab jahan hai tumhaari palkon ke niche dharti tumhaari palkon par aasman hai tumhaare hathon ki jumbihson mein hai ju-e-rang-e-bahaar dekho na dekho is be-sutun-e-gham ko tum apne teshon ki dhaar dekho tum apne teshe utha ke lao main le ke apni kudal niklun hazar-ha sal ke masaib hazar-ha sal ke mazalim jo ruh o dil par pahad ban kar hazar-ha sal se dhare hain hum apne teshon ki zarb-e-kari se un ke sinon ko chhed dalen ye hai sirf ek shab ki mehnat jo ahd kar len to hum sahar tak hayat-e-nau ke nae ajanta nae ellora tarash dalen