school ka ladka hun main nanha sa banjara hun main jo chiz hai wo khas hai baste mein mere pas hai kuchh toffiyan kuchh goliyan kuchh ber kuchh nimboliyan kadwi kasili chhaaliya kuchh bach gain kuchh kha liya parkar pencil aur rabber rangin kaghaz aur colour ye mor ke par dekhiye lal-o-jawahar dekhiye machis ke label dekhiye kaghaz ki bulbul dekhiye lo ye kahin se aa gae murghi ke par tute hue sikke purane daur ke lahore ke bhanbor ke ye dhat hai bolan ki ye un cholistan ki tukda hai ye billor ka tohfa bahawalpur ka nilam hai ye kashmir ka ye hai nagina dir ka phal wadi-e-kaghan ke mewe waziristan ke ye ibn-e-insha ki kitab tohfa mila hai la-jawab taswir ranga-rang hai jo dekhta hai dang hai billi nahin bhaalu hai ye khargosh ka khalu hai ye ye sab mere baste mein hai har phul gul-daste mein hai jab panch paise laoge tab ek tohfa paoge