tu un ladkiyon mein se thi jin se mil kar ragon mein hawas phadphadati phire mujhe teri khwahish thi aur tujh ko meri mere hath ne tere hathon se tere badan se kai bar baaten bhi kin tere jism ki narm khamoshiyan mujh ko targhib ke jangalon mein bulati rahin un ghane raston se pare sabz pani ka chashma chamakta tha par us ke nazdik sang-e-saza se udhar teri chahat ki had aa gai thi mohabbat ka dawa tujhe ab bhi hai par tujhe pyar karna na aaya kabhi tu ne jaana nahin ki mohabbat mein chalna hai rukna nahin is mein sab kuchh ganwana hai pana nahin han ye kuchh aur hi baat hai tu nahin jaanti thi ki gar pyar karti bhi tu tab bhi main tere mathe pe dhoke ki kalak lagata tujhe sabz pani tale chhod aata