mere dil mein jangal hai aur us mein bhediya rahta hai jo raat ko meri aankhon mein aa jata hai aur sare manzar kha jata hai subh ko suraj apne pyale se shabnam tapkata hai aur din ka bachcha meri ruh ke jhule mein rakh jata hai mere dil mein jangal hai aur us mein fakhta rahti hai jo apne paron se mere liye ek parcham bunti rahti hai aur khushbu se ek naghma likhti rahti hai phir thak kar mere baalon mein so jati hai mere dil mein jangal hai aur us mein jogi rahta hai jo mere khun se apni sharab banata hai aur apne sitar mein chhupi hui ladki ko pas bulata hai phir jangal bosa ban jata hai mere dil mein jangal hai aur is mein bhula-bhatka zakhmi shahzada hai jis ka lashkar khun ki dhaar pe us ke pichhe aata hai wo apne watan ke naqshe ko zakhmon pe bandh ke aakhiri khutba deta hai phir mar jata hai mere dil mein jangal hai aur us mein gahri khamoshi hai