ek hi pal ke liye baith ke phir uth baithi aankh ne sirf ye dekha ki nashista but hai ye basarat ko na thi tab ki wo dekh sake kaise talwar chali, kaise zamin ka sina ek lamhe ke liye chashme ki manind bana pech khate hue ye lahr uthi dil mein mere kash! ye jhadiyan ek silsila-e-koh banen daman-e-koh mein main ja ke sitada ho jaun aisi anhoni jo ho jae to kyun ye bhi na ho khushk patton ka zamin par jo bichha hai bistar wo bhi ek saz bane saz to hai saz to hai naghma bedar hua tha jo abhi kan tere kyun use sun na sake sunne se majbur rahe parda-e-chashm ne sirf ek nashista but ko zehn ke daera-e-khas mein markuz kiya yaad aata hai mujhe kan hue the bedar khushk patton se jab aai thi tadapne ki sada aur daman ki har ek lahar chamak utthi thi pad raha tha usi talwar ka saya shayad jo nikal aai thi ek pal mein nihan-khane se jaise be-sakhta andaz mein bijli chamke lekin is daman-e-aluda ki har lahar miti jal-pari dekhte hi dekhte ru-posh hui main sitada hi raha main ne na dekha (afsos!) kaise talwar chali kaise zamin ka sina ek lamhe ke liye chashme ki manind bana daman-e-koh mein istada nahin hun is waqt jhadiyan silsila-e-koh nahin parda hain jis ke us par jhalakta nazar aata hai mujhe manzar anjaan, achhuti si dulhan ki surat han tasawwur ko main ab apne bana kar dulha isi parde ke nihan-khane mein le jaunga kaise talwar chali kaise zamin ka sina dil-e-be-tab ki manind tadap uttha tha ek be-sakhta andaz mein bijli ki tarah jal-pari gosha-e-khalwat se nikal aai thi! zindagi garm thi har bund mein aabi paun khushk patton pe phisalte hue ja pahunche the! main bhi maujud tha ek kirmak-e-be-nam-o-nishan main ne dekha ki ghata shaq hui dhaara nikli barq-raftari se ek tir kaman ne chhoda aur wo kham kha ke lachakta hua tharra ke gira qulla-e-koh se girte hue patthar ki tarah koi bhi rok na thi us ke liye us ke liye khushk patton ka zamin par hi bichha tha bistar usi bistar pe wo anjaan pari let gai! aur main kirmak-e-be-nam, ghata ki surat isi ummid mein takta raha takta hi raha ab isi waqt koi jal ki pari aa jae bansuri hath mein le kar main gwala ban jaun jal-pari aae kahan se? wo isi bistar par main ne dekha abhi aasuda hui let gai lekin afsos ki main ab bhi khada hun tanha hath aaluda hai, nam-dar hai, dhundli hai nazar, hath se aankhon ke aansu to nahin ponchhe the!