tegh lahu mein dubi thi aur ped khushi se jhuma tha baad-e-bahaari chali jhum ke jab us ne mujh ko dekha tha ghayal nazren us dushman ki aise mujh ko takti thin jaise anhoni koi dekhi un kamzor nigahon ne ye insaf to baad mein hoga kya sachcha kya jhuta hai kaun yaqin se kah sakta hai kaun bura kaun achchha hai lekin phir bhi ek bar to mera dil bhi kanpa tha kash ye sab kuchh kabhi na hota main ne dukh se socha tha ghayal nazren us dushman ki gahri soch mein khoi thin jaise anhoni koi dekhi un kamzor nigahon ne kaun hun main aur kaun tha wo jis par honi ne war kiya kaun tha wo jis shakhs ko main ne bhari bahaar mein mar diya