muskura ai zamin tira-o-tar sar utha ai dabi hui makhluq dekh wo maghribi ufuq ke qarib aandhiyan pech-o-tab khane lagin aur purane qimar-khane mein kohna shatir baham ulajhne lage koi teri taraf nahin nigran ye giran-bar sard zanjiren zang-khurda hain aahani hi sahi aaj mauqa hai tut sakti hain fursat-e-yak-nafas ghanimat jaan sar utha ai dabi hui makhluq