kahan se aae ye ehsas mere ki ab jo ban gae wishwas mere mere jo zawiye hain zindagi ke mere jo nazariye hain aadmi ke mere ehsas se paida hue hain mere wishwas se paida hue hain magar shayad hai sach kuchh baat ye bhi meri qadren mere ehsas mere nazariye bhi mere apne nahin hai mere jo bhi yaqin hain wo mera ghar nahin hai mera main bas makin hai mila mahaul bachpan se mujhe jo jo dhadkan di gai hai mere dil ko jo qadre aur jo mazhab mila hai meri paidaish ka wo silsila hai mere ehsas ab meri haqiqat mere wishwas ab meri sadaqat hua hai qaid pinjre mein mera man dhala hai ek sanche mein mera tan mujhe jo zindagi jini hai apni mujhe gar dhundni hai apni hasti nikalna hoga apni hi hadon se haqiqat ke bharam ke aasron se