us samne baithi ladki se dil chahta hai ek baat karun wo baat ki jis ki kirnon se har samt ujala ho jae ye habs jo har su phaila hai khushbu ka hawala ho jae us chandan murat ladki ki mahkar hai sare kamre mein khamosh hai wo phir bhi us ki chahkar hai sare kamre mein dil hi dil mein dil ki baaten rozana kahta hun us ko gum-sum gum-sum hairan hairan bas dekhta rahta hun us ko kuchh dhime dhime se fiqre honton se gurezan rahte hain kuchh dhundle dhundle se sapne aankhon mein pareshan rahte hain kuchh bhole-bhaale se arman bechain hain mere sine mein jis din se aisi haalat hai ek lazzat si hai jine mein us ke rangin khayalon mein har khwab ko chehra mil jae har lamha us ki surat ho har phul khushi se khil jae na jaane kyon phir bhi jaise ek pyas hai meri aankhon mein har khwab adhura rahne ka ehsas hai meri aankhon mein jo khwab hai palkon par raqsan tabir kiya jae kaise jo zehn mein ek tasawwur hai taswir kiya jae kaise ab kyon na is tanhai ko gulzar-e-mohabbat hi samjhun un honton ki khamoshi ko iqrar-e-mohabbat hi samjhun un aankhon se jugnu le kar raushan apne din raat karun us samne baithi ladki se dil chahta hai ek baat karun