mere KHwab mujhe lauTa do

jashn-e-azadi mubarak ho tujhe arz-e-watan
jashn-e-azadi tujhe mera salam

yaad hain mujh ko abhi
apne bachpan ki wo raushan subhen

jashn-e-azadi ke shadan manzar
sare wo hubb-e-watan ke naghme

jin ke aahang pe aankhon mein diye jalte the
jin ke har lafz pe iqan hua karta tha

iman hua karta tha
jashn-e-azadi main qurban teri azmat ke

aur kuchh tujh se nahin mangti main
bas mere khwab mujhe lauta de

wo umidon ki wirasat mere tabinda khwab
wo kahin

be-yaqini ki ghani dhund mein khoe hue hain
jo kabhi mere buzurgon ne mujhe saunpe the

amn-e-alam ke mohabbat ke rawadari ke khwab
aam insan ki azmat ke wafadari ke khwab

ek nae daur ki tayyari ke khwab
ai meri arz-e-watan

mujh ko lauta de wahi
mere purkhon ki wirasat wahi rakhshanda khwab

taki main apni nai nasl ko bhi
un ki amanat saunpun

un ki aankhon mein saja dun
wo khush-ainda khwab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close