paron ko mere tum na resham ki dori se bandho na kato inhen tum ki mujh ko bhi udne do unchi udan main titli hun aisi ki jis ke paron se chamakti jhamakti hain rangon ki maujen ye maujen meri rah ki mishalen ban gai hain mitaengi jo teri meri tera shabon ki dhundalke mitaengi subhon ke meri paron ko mere tum na resham ki dori se bandho na kato inhen tum ki un hi sunahri paron ke sahaare mujhe par karna hai is raegan dasht ko aur khayalon ke aise jazire mein jaana hai jis tak kisi ki rasai bhi mumkin nahin hai mere waste jo hamesha se nadidani hai magar main ne bakhshe hain us ko khayalon ke rangin paikar utarna hai us des mein jis ke phulon ki khushbu meri muntazir hai rangon ke paikar mere muntazir hain mujhe dhundte hain wahan andalibon ke naghme usi des mein kitni nau-khez kaliyon ke rangin-badan mein machalti hui kitni munh-zor khushbuen band-e-qaba todne ko hain bechain sab istiare mere waste hain nai zindagi ke bulate hain mujh ko paron ko mere tum na resham ki dori se bandho na kato inhen tum