ai meri ummid meri jaan-nawaz ai meri dil-soz meri karsaz meri sipar aur mere dil ki panah dard-o-musibat mein meri takiya-gah aish mein aur ranj main meri shafiq koh mein aur dasht mein meri rafiq katne wali gham-e-ayyam ki thamne wali dil-e-nakaam ki dil pa pada aan ke jab koi dukh tere dilase se mila hum ko sukh tu ne na chhoda kabhi ghurbat mein sath tu ne uthaya na kabhi sar se hath ji ko ho kabhi agar usrat ka ranj khol diye tu nai qanaat ke ganj tujh se hai mohtaj ka dil be-hiras tujh se hai bimar ko jine ki aas khatir-e-ranjur ka darman hai tu aashiq-e-mahjur ka iman hai tu nuh ki kashti ka sahaara thi tu chah mein yusuf ki dil-ara thi tu ram ke ham-rah chadhi ran mein tu pandaw ke bhi sath phiri ban mein tu tu ne sada qais ka bahlaya dil tham liya jab kabhi ghabraya dil ho gaya farhad ka qissa tamam par tere fiqron pe raha khush mudam tu ne hi ranjhe ki ye bandhwai aas hir thi furqat mein bhi goya ki pas hoti hai tu pusht pe himmat ki jab mushkilen aasan nazar aati hain sab hath mein jab aa ke liya tu ne hat sat samundar se guzarna hai baat sath mila jis ko tera do qadam kahta hai wo ye hai arab aur ajam ghode ki li apne jahan tu ne bag samne hai tere gaya aur prag azm ko jab deti hai tu mel jast gumbad-e-gardun nazar aata hai past tu ne diya aa ke ubhaara jahan samjhe ki mutthi mein hai sara jahan zarre ko khurshid mein de khapa bande ko allah se de tu mila donon jahan ki hai bandhi tujh se lad din ki tu asl hai duniya ki jad nekiyon ki tujh se hai qaem asas tu na ho to jaen na neki ke pas din ki tujh bin kahin pursish na ho tu na ho to haq ki parastish na ho khushk tha bin tere darakht-e-amal tu ne lagae hain ye sab phul phal dil ko lubhati hai kabhi ban ke hur gah dikhati hai sharab-e-tahur nam hai sidra kabhi tuba tera roz nirala hai tamasha tera kausar o tasnim hai ya salsabil jalwe hain sab tere ye be-qal-o-qil rup hain har panth mein tere alag hai kahin firdaus kahin hai sowarg chhut gae sare qarib aur baid ek na chhuti to na chhuti umid tere hi dam se kate jo din the sakht tere hi sadqe se mila taj-o-takht khakiyon ki tujh se hai himmat buland tu na ho to kaam hon duniya ke band tujh se hi aabaad hai kaun-o-makan tu na ho to hai bhi barham jahan koi padta phirta hai bahr-e-maash hai koi iksir ko karta talash ek tamanna mein hai aulad ki ek ko dil-dar ki hai lau lagi ek ko hai dhan jo kuchh hath aae dhum se aulad ki shadi rachae ek ko kuchh aaj agar mil gaya kal ki hai ye fikr ki khaenge kya qaum ki bahbud ka bhuka hai ek jin mein ho un ke liye anjam-e-nek ek ko hai tishnagi-e-qurb-e-haq jis ne kiya dil se jigar tak hai shaq jo hai gharaz us ki nai justuju lakh agar dil hain to lakh aarzu tujh se hain dil sab ke magar bagh bagh gul koi hone nahin pata charagh sab ye samajhte hain ki pai murad kahti hai jab tu ki ab aai murad wada tera rast ho ya ho darogh tu ne diye hain use kya kya farogh wade wafa karti hai go chand tu rakhti hai har ek ko khursand tu bhati hai sab ko teri lait-o-lal tu ne kahan sikhi hai ye aaj kal talkh ko tu chahe to shirin kare bazm-e-aza ko tarab-agin kare aane na de ranj ko muflis ke pas rakhe ghani us ko rahe jis ke pas yas ka pati hai jo tu kuchh lagaw saikdon karti hai utar aur chadhao aane nahin deti dilon par hiras tutne deti nahin talib ki aas jin ko mayassar na ho kamli phati khush hain tawaqqoa pe wo zar-baft ki chatni se roti ka hai jin ki banaw baithe pakate hain khayali polaw panw mein juti nahin par hai ye zauq ghoda jo sabza ho to nila ho tauq faiz ke khole hain jahan tu ne bab dekhte hain jhonpade mahlon ke khwab tere karishme hain ghazab dil-fareb dil mein nahin chhodte sabr-o-shakeb tujh se muhawwis ne jo shura liya phunk diya kan mein kya jaane kya dil se bhulaya zan o farzand ko lag gaya ghun nakhl-e-baromand ko khane se pine se hua sard ji aisi kuchh iksir ki hai lau lagi din ki hai fikr na duniya se kaam dhun hai yahi raat din aur subh sham dhonkni hai baith ke jab dhonkna shah ko samajhta hai ek adna gada paise ko jab taw pe deta hai taw puchhta yaron se hai sone ka bhaw kahta hai jab hanste hain sab dekh kar rah gai ek aanch ki baqi kasar hai isi dhund mein wo aasuda-haal tu ne diya aql pe parda sa dal tol kar gar dekhiye us ki khushi koi khushi is ko na pahunche kabhi phirte hain mohtaj kai tira-bakht jan ke pairon mein tha kabhi taj-o-takht aaj jo bartan hain to kal ghar karo malti hai mushkil se inhen nan-e-jau taire siwa khak nahin in ke pas sari khudai mein hai le de ke aas phule samate nahin is aas par sahib-e-alam unhen kahiye agar khate hain is aas pa qasmen ajib jhute ko ho takht na ya-rab nasib hota hai naumidiyon ka jab hujum aati hai hasrat ki ghata jhum jhum lagti hai himmat ki kamar tutne hausla ka lagta hai ji chhutne hoti hai be-sabri o taqat mein jang arsa-e-alam nazar aata hai tang ji mein ye aata hai ki sam khaiye phad ke ya kapde nikal jaiye baithne lagta hai dil aawe ki tarah yas daraati hai chhalawe ki tarah hota hai shikwa kabhi taqdir ka udta hai khaka kabhi tadbir ka thanti hai gardun se ladai kabhi hoti hai qismat ki hansai kabhi jata hai qabu se aakhir dil nikal karti hai in mushkilon ko tu hi hal kan mein pahunchi teri aahat jo hain rakht-e-safar yas nai bandha wahin sath gai yas ke pazhmurdagi ho gai kafur sab afsurdagi tujh mein chhupa rahat-e-jaan ka hai bhed chhodiyo 'haali' ka na sath ai umid