mere watan, pyare watan rahat ke gahware watan har dil ke ujyare watan har aankh ke tare watan gul-posh teri wadiyan farhat-nishan rahat-rasan tere chaman-zaron pe hai gulzar-e-jannat ka guman har shakh phulon ki chhadi har nakhl-e-tuba hai yahan kausar ke chashme ja-ba-ja tasnim har aab-e-rawan har barg ruh-e-tazgi har phul jaan-e-gulsitan har bagh bagh-e-dil-kashi har bagh bagh-e-be-khizan dilkash charagahen teri dhoron ke jin mein karwan anjum-sifat gulha-e-nau har takhta-e-gul aasman naqsh-e-surayya ja-ba-ja har har rawish ek kahkashan teri bahaaren daimi teri bahaaren jawedan tujh mein hai ruh-e-zindagi paiham rawan paiham dawan dariya wo tere tund-khu jhilen wo teri be-karan sham-e-awadh ke lab pe hai husn-e-azal ki dastan kahti hai raaz-e-sarmadi subh-e-banaras ki zaban udta hai haft-aflak par un kar-khanon ka dhuan jin mein hain lakhon mehnati sanat-gari ke pasban teri banaras ki zari rashk-e-harir-o-parniyan bidar ki fankari mein hain sanat ki sab barikiyan azmat tere iqbaal ki tere pahadon se ayan dariyaon ka pani, tari taqdis ka andaza-dan kya 'bhaartendu' ne kiya ganga ki lahron ka bayan 'iqbaal' aur chakbast hain azmat ke teri naghma-khwan 'josh' o 'firaq' o 'pant' hain tere adab ke tarjuman 'tulsi' o 'khusraw' hain teri tarif mein ratb-ul-lisan gate hain naghma mil ke sab uncha rahe tera nishan mere watan, pyare watan rahat ke gahware watan har dil ke ujiyare watan har aankh ke tare watan tere nazaron ke nagin duniya ki khatam mein nahin sare jahan mein muntakhab kashmir ki arz-e-hasin fitrat ka rangin moajaza firdaus bar-ru-e-zamin firdaus bar-ru-e-zamin han han hamin ast o hamin sarsabz jis ke dasht hain jis ke jabal hain surmagin mewe ba-kasrat hain jahan shirin misal-e-angbin har zafaran ke phul mein aks-e-jamal-e-hurain wo malwe ki chandni gum jis mein hon duniya-o-din is khitta-e-nairang mein har ek faza husn-afrin har shai mein husn-e-zindagi dilkash makan dilkash zamin har mard mard-e-khub-ru har ek aurat naznin wo taj ki khush-paikari har zawiye se dil-nashin sanat-garon ke daur ki ek yaadgar-e-marmarin hoti hai jo har sham ko faiz-e-shafaq se ahmarin dariya ki maujon se alag ya ek bat-e-nazzara-bin ya taer-e-nuri koi parwaz karne ke qarin ya ahl-e-duniya se alag ek aabid-e-uzlat-guzin naqsh-e-ajanta ki qasam jachta nahin arzhang-e-chi۔n shan-e-ellora dekh kar jhukti hai aazar ki jabin chittaud ho ya aagara aise nahin qile kahin but-gar ho ya naqqash ho tu sab ki azmat ka amin mere watan, pyare watan rahat ke gahware watan har dil ke ujiyare watan har aankh ke tare watan dilkash tere dasht o chaman rangin tere shahr o chaman tere jawan raana jawan tere hasin gul pairahan ek anjuman duniya hai ye tu is mein sadr-e-anjuman tere mughanni khush-nawa shaer tere shirin-sukhan har zarra ek mah-e-mubin har khar rashk-e-nastarin ghuncha tere sahra ka hai ek nafa-e-mushk-e-khutan kankar hain tere be-baha patthar tere lal-e-yaman basti se jangal khub-tar baghon se husn afroz ban wo mor wo kabk-e-dari wo chaukdi bharte hiran rangin-ada wo titliyan banbni mein wo nagon ke phan wo sher jin ke nam se larze mein aae ahrman kheton ki barkat se ayan faizan-e-rabb-e-zul-minan chashmon ke shirin aab se lazzat-kashan kaam-o-dahan tabinda tera ahd-e-nau raushan tera ahd-e-kuhan kitnon ne tujh par kar diya qurban apna mal dhan kitne shahidon ko mile tere liye dar-o-rasan kitnon ko tera ishq tha kitnon ko thi teri lagan tere jafa-kash mehnati rakhte hain azm-e-kohkan tere sipahi surma be-misl yakta-e-zaman 'bhisham' sa jin mein hausla 'arjun' sa jin mein bankpan aalim jo fakhr-e-ilm hain fankar nazan jin pe fan 'rae' o 'bos' o 'shergil' 'dinkar,' 'jigar' 'maithli-sharan' 'wallathol' 'mahir', bhaarti 'bachchan', 'mahadewi' 'suman' 'krishnan', 'nirala', 'prem-chand' 'tagore' o 'azad' o 'raman' mere watan, pyare watan rahat ke gahware watan har dil ke ujiyare watan har aankh ke tare watan kheti teri har ek hari dilkash teri khush-manzari teri bisat-e-khak ke zarre hain mahr-o-mushtari jhelum kaweri nag wo ganga ki wo gangotari wo narbada ki tamkanat wo shaukat-e-godawari pakizgi sarju ki wo jamuna ki wo khush-gauhari dullarba aab-e-nil-gun kashmir ki nilam-pari dilkash papihe ki sada koyal ki tanen mad-bhari titar ka wo haq sirrahu tuti ka wo wird-e-hari sufi tere har daur mein karte rahe paighambari 'chishti' o 'nanak' se mili faqr-o-ghina ko bartari adl-e-jahangiri mein thi muzmar reaya-parwari wo nau-ratan jin se hui tahzib-e-daur-e-akbari rakhte the afghan-o-mughal ek saulat-e-askandari ranaon ke iqbaal ki hoti hai kis se ham-sari sawant wo yodhdha tere tere jiyale wo jari niati widur ki aaj tak karti hai teri rahbari ab tak hai mashhur-e-zaman 'chanakya' ki danish-wari wayas aur wishwamitr se muniyon ki shan-e-qaisari patanjali o sankh se rishiyon ki hikmat-parwari bakhshe tujhe inam-e-nau har daur charkh-e-chambari khush-gauhari de aab ko aur khak ko khush-jauhari zarron ko mahr-afshaniyan qatron ko dariya-gustari mere watan, pyare watan rahat ke gahware watan har dil ke ujiyare watan har aankh ke tare watan tu rahbar-e-nau-e-bashar tu amn ka paigham-bar pale hain tu ne god mein sahib-khirad sahib-e-nazar afzal-tarin in sab mein hai bapu ka nam-e-mo'tabar har lafz jis ka dil-nashin har baat jis ki pur-asar jis ne lagaya dahr mein nara ye be-khauf-o-khatar be-kar hain tir-o-sinan be-sud hain tegh-o-tabar hinsa ka rasta jhut hai haq hai ahinsa ki dagar darman hai ye har dard ka ye har maraz ka chaara-gar jangah-e-alam mein koi is se nahin behtar sipar karta hun main tere liye ab ye dua-e-mukhtasar raunaq pe hon tere chaman sarsabz hon tere shajar nakhl-e-umid-e-behtari har fasl mein ho barwar koshish ho duniya mein koi khitta na ho zer-o-zabar tera har ek basi rahe neko-sifat neko-siyar har zan saliqa-mand ho har mard ho sahib-hunar jab tak hain ye arz o falak jab tak hain ye shams o qamar mere watan, pyare watan rahat ke gahware watan har dil ke ujyare watan har aankh ke tare watan