aiman ka nur agar hai to mere watan mein hai ab tak bhi shan-e-tur isi ujde chaman mein hai donon hain teri yaad mein aaluda-e-gharaz jo aib shaikh mein hai wahi barhaman mein hai lipta hua hai daur-e-khizan bhi bahaar se donon ka rang lala-e-khunin-kafan mein hai kyun dil mein dhundte ho shagufta-mizajiyan pahli si ab bahaar kahan is chaman mein hai zarre chamak rahe hain teri rahguzar ke hai tera naqsh-e-pa ki charagh anjuman mein hai nakaam hasraton ki yahi to hai yaadgar daghon ka jo hujum dil-e-pur-mehan mein hai ye bhi khabar hai gauhar-e-maqsad nahin yahan dil tera phir bhi gharq furaat-o-jaman mein hai azm-e-safar bahaar mein ai 'arsh' kis liye duniya ki har bahaar bahaar-e-watan mein hai