mere sathi tere aur mere darmiyan kis qadar faslon ki fasilen khadi hain yahan mera virana ho ya tera gulsitan har qadam par hazaron saliben gadi hain yahan aarzuon ke sae hain phir bhi rawan hasil-e-zindagi hasil-e-bandagi aansuon ki jalan hasraton ka dhuan har ubharti hui raat ki tirgi teri afshan se tare churaati rahi mere aangan ko aa kar sajati rahi sham-e-hasti magar dagmagati rahi dil pukara kiya raushni raushni kohr-alud rahon pe chalte hue har qadam par tujhe main ne aawaz di barha meri aawaz ne khud pukara mujhe kho gai in khalaon ki yakh-bastagi mein sada hijr ke marhale dard ke silsile karb ki aandhiyan dil ka bujhta hua ek diya tere honton ki kaliyan mahakti rahin aankh roti rahi hont hanste rahe jaane kis manzil-e-zist par aa gae teri yaadon ke mahtab gahna gae