tu hi batla ki bhala mere siwa duniya mein kaun samjhega in aankhon ke tabassum ka gudaz in sharar-bar nigahon mein magar mere siwa dekh paega bhala kaun karam ke andaz jin fazaon mein bhatakte hain khayalat tere hai wahan kaun ba-juz mere tera ham-parwaz kaun padh paega tahrir-e-jabin-e-shaffaf kas ko mal sakta hai be-wajh taghaful ka jawaz kaun samjhega ba-juz mere tera huzn-o-alam jab tere dosh pe bikhri bhi na wo zulf-e-daraaz to hi batla ki bhala kaun samajh paega tere honton se bahut dur teri aah ka raaz jazb ho kar shab-e-tarik ke sannate mein kaun is tarah sunega tere dil ki aawaz