ye tez dhup ye kandhon pe jagta suraj zamin buland hai utni ki aasman ki raqib wo raushni hai wo bedariyan ki sae na khwab bas ek hosh bas ek aagahi bas ek ehsas aur un ke nur se jalte badan pighalte badan badan hain khaulte sayyal aaine har su har aan bahte sada haiaten badalte badan dimagh dur se un ka nazara karta hai aur un ke qurb ke izhaar se sanwarta hai wo raushni hai ki az-fard-ta-ba-fard tamam kisi ki shakl na surat kisi ka rang na rup tamam anfus-o-afaq gum hain aapas mein hain fard fard ki parchhaiyan bhi dhup hi dhup sab apne ilm ka jadu-e-samri le kar hazar aankhon se ek dusre ko dekhte hain rawan-dawan hain sab ek dusre ko dekhte hain aur itna jaan chuke hain sab ek dusre ko kuchh itni dur nikal aae hain sab apne se ki dil ke rishton ko ab manta nahin koi kisi ko apne siwa jaanta nahin koi