nashsha jis waqt bhi tutega, kai andeshe subh-e-lab-basta ke sine mein utar aaenge mahfil-e-shoala-e-shab-tab ke sare lamhe rakh ho jaenge palkon pe bikhar jaenge ret dar aaegi sunsan shabistanon mein aur bagule pas-e-diwar nazar aaenge is se pahle ki ye ho jae, mere zakhmi hont main ye chahunga ki be-lahn-o-sada ho jaen main ye chahunga ki bujh jae meri sham-e-khayal is se pahle ki sab ahbab juda ho jaen is liye mujh se na puchho ki safa-e-yaran mein kyun ye dil be-hunar-o-husn-o-tamiz itna hai aur ai dida-waro! ye bhi na puchho ki mujhe saghar-e-zahr bhi kyun jaan se aziz itna hai