khuda ne alao jalaya hua hai use kuchh dikhai nahin de raha hai har ek samt us ke khala hi khala hai simatte hue dil mein wo sochta hai tajjub ki nur-e-azal mit chuka hai bahut dur insan thethuka hua hai use ek shola nazar aa raha hai magar us ke har samt bhi ek khala hai takhayyul ne yun us ko dhoka diya hai azal ek pal mein abad ban gaya hai adam is tasawwur pe jhunjhla raha hai nafas-do-nafas ka bahana bana hai haqiqat ka aaina tuta hua hai to phir koi kah de ye kya hai wo kya hai khala hi khala hai khala hi khala hai