ek roz apne aap ko main ne khala ki wusaton se jhank kar dekha to wahshat mein palat aaya kahin par dur ek nuqta sa raushan tha aur us nuqte mein ek zarra nazar aaya zamin kahiye zaman kahiye ki apna aasman kahiye sabhi kuchh is mein gum paya wahi zarra ki jis ki wusaton ko bant kar hum ne kai khitte bana dale aur un khitton mein hum ne sarhaden bhi khub khinchi hain so ek sarhad ke andar bhi kai tukde nazar aae ki jin tukdon ke tukdon mein kahin ek shahr basta hai ki jis ke ek tukde mein purana ek mohalla hai so us ke ek hisse mein koi chhota sa ghar hoga aur us ghar ke kisi kamre ke kone mein koi apni haqiqat likh raha hoga