rassi ka pul dekha bhaala hachkole manus girhen jis ki uqdon se pur tul safar ek umr rassi ka pul ek din tuta aur musafir girte girte us ke donon tukde thame khud pul ban kar beach mein latka jhul raha tha saikdon aankhon ke jhurmut mein wo maslub tamasha ban kar tute pul ko jod raha tha unchai par donon siron ki jaanib be-rahmi se khinchti ziddi rassi tund hawa ki paiham aadi tirchhi kilen gahrai mein bahta pani aur chattanen aur hawa mein do bazu shal is mutthi se us mutthi tak hashr bapa tha pani aur hawa ke shor mein shiryanon ka khun ho jaise aur tanaw chikh raha ho apni aankhen khol ke dekho rassi ban gae hath tumhaare tum khud apna kaffara ho hile lo yah hile lo yah ab ji uttho jashn manao lambe safar se tum ko aaj najat mili hai