main kya chahta hun main kya chahta hun har ek chiz ko bhulna chahta hun meri chah ko dekh kya chahta hun qasam chahta hun jafa chahta hun mohabbat mein teri mita chahta hun fana ho ke lutf-e-baqa chahta hun wahi pyari pyari adaen tumhaari main ek bar phir dekhna chahta hun madad al-madad be-khudi-e-mohabbat main apne tain dhundhna chahta hun teri chah ka chah kahte hain jis ko usi chah mein dubna chahta hun mujhe 'nur' hai dard-e-dil ki tamanna magar dard bhi la-dawa chahta hun