meri Diary

meri purani bosida diary ke pannon par kuchh purani yaadon ke sae hain
kuchh purani ghazlen hain

kuchh adhuri nazmen hain
sochti hun un nazmon ko mukammal kar lun

phir sochti hun ye nazmen to meri mohabbat se wabasta hain
aur mohabbat tum bin adhuri hai

batao tum hi kaise in nazmon ko kam karun
kaise wo an-kahi ghazlen

sunaun tumhein ki jin mein
tadap rahi hai mohabbat

machal rahi hai ulfat
teri justuju

teri talash jari hai
zindagi mujh pe bhaari hai

sochti hun kahan ja ke panah lun
wadi-e-mohabbat mein ya apni adhuri nazmon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close