yaaden

mujhe ab yaad nahin rahta
main aksar bhul jati hun

teri yaaden jo bikhri thin
mere kamre mein yun har-su

samet kar ek kone mein rakh diya hai
kabhi ye chadar tale simat kar soi rahtin thin

kabhi takiye tale dubki padi rahtin
par ab yaad nahin rahta ki ghar ke kis kone mein

unhen rakh kar main bhul baithi hun
kabhi subh yahi yaaden

palkon pe machalti thin
kabhi shabnam mein naha kar

ashkon mein ghota-zan hotin
magar ab aisa nahin raha

ab yahi yaaden zehn par bar lagti hain
jinhen main phul samjhi thi

wo mujh ko khar lagti hain
sochti hun ki in yaadon se

daman kaise bachaun
fuzul yaadon se kaise

apna pichha chhudaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close