main kahta hun duniya be-waqat be-maya hai aur ye mera dukh sukh bhi kya ye to bas ek dhup ka tukda baadal ka saya hai main ne ye kahne se pahle gita ya quran pe hath nahin rakkha lekin sach kahta hun aur agar main sach kahta hun to mujh ko ye duniya kyun itni bhati hai kyun main achanak sote sote aankhen malte uth jata hun aur mujhe phir nind nahin aati hai aur mere bistar pe guzarte waqt ke sae mere qad ke barabar sae qabr ki tariki se bhi gahre ho jate hain mere khwab lipat kar mujh se rote rote so jate hain