ghar ai dil-e-be-qarar zindan se kam nahin qaid kaun kate hasin sarma ka chand diwana-war ko bula raha hai fusun-e-mahtab ki qasam hai phir aaj shab kuchh na likh sakunga phir aaj ghar mein na rah sakunga ki ek junun sa hai mujh pe tari manazir-e-koh-o-kunj jashn-e-shab-e-munawwar mana rahe hain bula rahe hain mujhe mere waste qayamat utha rahe hain ghazab ki us barf-basta thandi hawa mein sailab chandni ka badan to hai munjamid ragon mein lahu magar tamtama raha hai bala ki hai sard raat lekin main aaj aawargi karunga ki chand wadi ke zarre zarre ko jalwa-khana bana raha hai na ruk sakunga main aaj ghar mein ki chandni ki kashish ghazab hai safina-e-shauq-o-sher duniya-e-nur mein dagmaga raha hai sukut-e-shab mein faza bhi juzw-e-sukut-e-shab ho gai hai 'fitrat' mah-e-darakhshan faqat ghazal meri zer-e-lab gunguna raha hai main aaj ghar par na ruk sakunga hasin sarma ka chand ishaaron se dekh mujh ko bula raha hai