mere khwabon ke surat-gar meri sochon ke chehra-gar kahan ho tum meri nazmen tumhaari muntazir hain khafa hain lafz lahje be-sada hain kai din se tumhaari yaad ke panchhi bhi mere zehn-o-dil ke aasmanon par nazar aate nahin hain nadi kohsar jharne phul titli rang jugnu sab meri bechaargi par nauha-khwan hain koi manzar meri be-chehragi ko khush nahin aata koi mausam mere zakhmon pe marham tak nahin rakhta mere chaaron taraf nakaam ummidon shikasta aarzuon aur sannaton ka jangal hai mere khwabon ke surat-gar main jina chahta hun apne lafzon mein tumhein sakar karna chahta hun kahan ho tum chale aao meri nazmen tumhaari muntazir hain