na kuchh mujh mein taqat thi jis aan amman na achchhe bure ki thi pahchan amman tumhin sab tarah thin nigahban amman tumhin ko tha har dam mera dhyan amman meri pyari amman meri jaan amman mujhe pyar se dudh tum ne pilaya thapak kar mohabbat se tum ne sulaya bahut din mujhe godiyon mein phiraya mujhe sukh diya aap hai dukh uthaya meri pyari amman meri jaan amman kabhi apni godi mein mujh ko litana kabhi mithi baaton se mujh ko hansana kabhi pyar karna gale se lagana na bhulunga main umr bhar wo zamana meri pyari amman meri jaan amman jo dukh se kabhi nind mujh ko na aai to is fikr mein raat tum ne ganwai kabhi kuchh dawai khilai pilai kabhi koi mithi si lori sunai meri pyari amman meri jaan amman tumhin ne hai achchha tariqa sikhaya tumhin ne hai rasta khuda ka bataya tumhin ne gunahon se mujh ko bachaya tumhin ne mujhe aadmi hai banaya meri pyari amman meri jaan amman bahut ki mere sath tum ne mohabbat uthai mere waste sakht mehnat agar de khuda mujh ko umr aur daulat tumhaari baja laun har tarah khidmat meri pyari amman meri jaan amman