ai aaftab-e-hubb-e-watan tu kidhar hai aaj tu hai kidhar ki kuchh nahin aata nazar hai aaj tujh bin jahan hai aankhon mein andher ho raha aur intizam-e-dil hai zabar zer ho raha thande hain kyun dilon mein tere josh ho gae kyun sab tere charagh hain khamosh ho gae hubb-e-watan ki jins ka hai qaht-sal kyun hairan hun aaj-kal hai pada us ka kal kyun kuchh ho gaya zamana ka ulta chalan yahan hubb-e-watan ke badle hai bughz-e-watan yahan bin tere mulk-e-hind ke ghar be-charagh hain jalte ewaz charaghon ke sinon mein dagh hain kab tak shab-e-siyah mein aalam tabah ho ai aaftab idhar bhi karam ki nigah ho aalam se ta ki tira-dili dur ho tamam aur hind tere nur se mamur ho mudam ulfat se garm sab ke dil-e-sard hon baham aur jo ki ham-watan hon wo hamdard hon baham ta ho watan mein apne zar-o-mal ka wafur aur mumlikat mein daulat-o-iqbaal ka wafur sab apne hakimon ke liye jaan-nisar hun aur gardan-e-harif pe khanjar ki dhaar hon ilm-o-hunar se khalq ko raunaq diya karen aur anjuman mein baith ke jalse kiya karen labrez-e-josh-e-hubb-e-watan sab ke jam hon sarshaar-e-zauq-o-shauq dil-e-khas-o-am hon