meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum jahan pahunch gaya hun main wahan na aa sakoge tum tumhaare jism o jaan dil o nazar mein hun tumhaare sath sath zindagi ke har safar mein hun tum apne aap se abhi nahin ho ru-shanas taki dekhte mujhe khud apne aap mein kabhi magar tum apne aap ko na dekh paoge abhi abhi na apne aap se nazar mila sakoge tum meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum jahan pahunch gaya hun main wahan na aa sakoge tum raushni ke sehr-kar daere bana raha hun zarra-e-haqir se jo sakinan-e-arsh ko muhit mein liye hue zamin ki samt hain rawan raushni mein gum hun main raushni meri numud nazara-e-tajalli-e-hayat hun tab kis nazar mein hai tajalli-e-hayat ki na tab la sakoge tum meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum baid-az-qayas ma-wara-e-fikr-o-agahi tamam kaenat ki hadon se par zindagi danish o khirad ki be-shumar manzilen be-shumar manzilen milin faza-e-be-zaman o be-makan ki justuju mein gum tayyun aur maqam ka asir mein kabhi na tha kabhi nahin agar tayyunat se pare na ja sakoge tum meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum shabih-e-rang-rup in quyud se bari hun main khayal-e-zat aur tasawwur-e-wajud se buland hun batao in bulandiyon tak aaj aa sakoge tum khud apne aap se kabhi nazar mila sakoge tum meri talash mat karo mujhe na pa sakoge tum