wahm yaqin

mere ghar ke har kamre mein
ek hi chehra jhank raha hai

diwaron par aks hai us ka
darwazon par lams hai us ka

har aahat mein us ki aahat
har lamhe maujud hai lekin

phir bhi tayaqqun soch raha hai
kaun hai mere wahm ke ghar mein

kaun andhere khol raha hai, kaun khamoshi bol raha hai
kis ne mere dard ke dil ko

hath ka marham bakhsh diya hai
kis ne meri tanhai mein

apna chehra chhod diya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close