mez par rakhe hain hath hathon ko mez par se uthati hun phir bhi pade rahte hain mez par aur hanste hain mez par rakhe apne hi do hathon ko hathon se uthana mushkil lagta hai mein hathon ko danton se uthati hun par hath nahin uthte mez par rah jate hain danton ke nishanon se bhare hue sakit aur ghurte hue main bhi hathon ko ghurti hun mez ka rang aaankhon mein bhar jata hai main aanhken band kar leti hun so jati hun mez par rakhe hue hathon par sar rakh kar