saman suhana tha thandi hua ke jhonkon se badan ko tazgi milti thi ruh mein jaise izafa hota sa mahsus ho raha tha mujhe faza mein udte hue mast abr ke tukde ye lag raha tha bahaaron ke hain faristade khayal aaya ki mausam ka lutf len sab dost mare to jate hain jine ko aaj khul ke jien azim shahr ki aaluda is faza se pare kahin bhi mil ke chalen sath baithen khaen piyen mera padosi bada pyara aadmi tha use gali mein aan ke aawaz di ghulam-rasul man mujhe ye khayal aaya mera ham-saya ab is jahan mein nahin ban chuka hai waqt ki dhul jo pichhle sal achanak bhadak uthe the yahan wo firqa-wari fasadat kha gae us ko