midlife crisis

ek nadi ke tat pe main
jaane kab se baitha hun

ja chuka hai din lekin
raat abhi nahin aai

raushni hai bujhne ko
par andhera ghaeb hai

yani saf bolun to
sanjh ka dhundhalka hai

aur is dhundhlake mein
main khamosh baitha hun

main udas baitha hun
jaanta hai kya koi

main yahan kab aaya tha
kab yahan se jaunga

aur jo udasi hai
sath le ke aaya tha

sath le bhi jaunga
main ne ek patthar jo

pani par chalaya tha
dubne se pahle wo

kitni bar kuda tha
main meri udasi pe

roz tappe khata hun
dub hi na pata hun

jaanta hai kya koi
nam aur pata mera

ya ki rasta mera
aur jo khamoshi hai

kab se meri sathi hai
kab talak rahegi ye

ret main ne mutthi mein
le ke jo uda di thi

wo hawa ke kandhe par
kitni der baithi thi

main meri khamoshi ko
roz hi udata hun

phir se khud pe pata hun
ek nadi ke tat pe main

jaane kab se baitha hun
sanjh ka dhundhalka bhi

sath chhode jata hai
har taraf siyahi hai

har taraf sannata hai
yani saf bolun to

raat ye andheri hai
aur main andhere mein

kyon khamosh baitha hun
kyon udas baitha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close