misophonia

ye jo aawaz aati hai
kabhi mandir kabhi masjid ki jaanib se

saham jata hun jaane kyon
ye aawazen kabhi mujh ko

sukun deti thin lekin ab
inhen sun kar upajta hai

ajab ek dar tabahi ka
ki jaise jai bhawani kah ke jaez hai

kisi ka qatl kar dena
kisi ki jaan le lena

ki jaise nara-e-takbir dhul dega
gunahon ko

so jab aawaz aati hai
aarti aur azanon ki

main dar se kanp jata hun
main ek bachchi ki ungli tham leta hun

ki shayad wo naya rasta dikhae
aur badal de

mazhabon ke ye nae maani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close