tin hamari bahnen chhoti mil kar khaen aadhi roti na patli na bilkul moti midu in mein sab se chhoti midu ne ek tota pala us tote ka rang nirala niche nila upar kala tidde aisi aankhon wala is tote ki hui chadhai din bhar kar ke maghz khapai sham ko di midu ne duhai is tote ko lena bhai lakh padhaen khak na bole dum na hilae chonch na khole bahut kaho to haule haule farsh pe mare rah rah thole bhai ne socha us ko bulaen chheda jo us ko daen baen tota bola kaen kaen midu boli haen haen main ne is ko tota samjha ye tota to kawwa nikla is kawwe ki dum mein taga is ke pichhe chhodo kutta