milan

jab hasinon ki tasawir kitabon mein milen
kore kaghaz hi sawalon ke jawabon mein milen

din ko thetar mein milen raat ko baghon mein milen
mill ne wale jo milen kuchh to hijabon mein milen

chahne walon ka is tarah chaman mein ho milan
jis tarah phul chanbeli ke gulabon mein milen

na main dulha hun naya aur na nai dulhan tum
donon budhe hain to kyon itne hijabon mein milen

umr badhti hai to jazbon mein kami hoti hai
murgh-o-mahi ke maze kaise kababon mein milen

isi ummid pe maikhane ke chakkar kate
shayad ab achchhe bhale log kharabon mein milen

wasl ka lutf shab-e-hijr ke mare yun len
nind aa jae jo donon ko to khwabon mein milen

jin sawabon ke bharose pe hai zinda waiz
hamein shayad wo gunahon ke azabon mein milen

waiz-o-rind agar shir-o-shakar ho jaen
zaiqe pand-o-nasihat ke sharabon mein milen

'khwah-makhwah' milne se katraate ho jin se din mein
kya karoge jo tumhein raat ko khwabon mein milen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close