muskuraati hui aati hai ghata sawan ki ji lubhati hui aati hai ghata sawan ki git koyal ke papihon ki sada mor ka shor gungunati hui aati hai ghata sawan ki kyon na ham-joliyan gulzar mein jhula jhulen lahlahati hui aati hai ghata sawan ki kohsaron ka khayabanon ka gulzaron ka munh dhulati hui aati hai ghata sawan ki mauj-e-nikhat se khudai mahak uthi 'akhtar' phul udati hui aati hai ghata sawan ki