waqt ko sahra kahun ya bahr-e-be-sahil kahun raat hai reg-e-rawan ki lahr ya ki mauj-e-ab-e-zindagi tare jugnu hain ki moti phul hain ya sipiyan kahkashan hai dhul taron ki ki mauj-e-pur-kharosh-o-dur-fashan soch ki chingariyan udti hain yun jaise dil par chot padti ho kisi ehsas ki jaise main tanha nahin waqt ke sahra mein jaise an-ginat sae ubhar kar meri jaanib daudte aate hun sae biti sadiyan jaise par phailae uthin gol gol apni lashen chhod kar meri taraf aain ki jaise noch khaengi mujhe aur phir murda lashen yak-ba-yak wahshi bagulon ki tarah raqs karti chaar-su dhol-tashon aur naqqaron ki haibat-nak aawazon pe raqs khadkhadati haddiyan khud shoale ban kar nachti hain chaar-su aur ek zartusht sajda rez ho kar un ki haibat un ki azmat un ki be-rahmi ko karta ho salam aur wo us ko apni gul-fishan aaghosh mein le kar uthin jaise man apne bachche ko uthae aur main waqt ke be-rahm hathon mein hon jaise gidh ke changul mein koi zinda parind biti sadiyan shab ke sannate main shab-khun mar kar is tarah yalghaar karti hain ki jaise main nihatta hun mere tarkash ke tir mere hi sine mein hain paiwast main zinda nahin zinda nahin 2 dekh ai chashm-e-khayal sar ke taron pe ithlati hui wo ju-e-naghma bu-e-gul wo urus-e-arzu wo chandni ke pairahan mein husn-e-raqsan mauj-e-mai wo bahaaron ka tabassum wo jawani ka ghurur titliyon ki khamushi gungunati ragni aa rahi hai meri jaanib hath phailae hue husn jis ke loch se hai sang-e-marmar mein gudaz husn jis ke rup se aahan hua aaina-saz husn angdai mein jis ki saikdon qaumon ka raaz husn jis ke abruon ka jalwa mehrab-e-namaz husn jis ka ras-bhara sina hazaron gumbadon par sarfaraaz kya hua wo husn wo doshiza wo mere khayalon ki dulhan kho gai apni numu ke parda-e-rangin ke pichhe kho gai waqt ke sahra mein aiwanon ki azmat sang-sazon ki tarash hajla-e-simin ki ranai ka afsun ho gai husn patthar ban gaya fan ki ragon ka garm khun murda sadiyon ke shabistanon mein apni aarzu se ji utha aur suraj ki tarah raushan hua din dhale tak meri aankhon mein raha biti hui sadiyon ka nur mera sarmaya tha suraj ki mohabbat ka fusun mere honton par tarane the ki mere zehn mein git ban ban kar ubharta tha fazaon ka sukut yaaden phulon ki tarah dil ke har goshe ko mahkati thin aur mere khayal sham tak aaj ki shab ki tamanna mein rahe nim-shab ki sard tariki mein ye mazi ke bhut nachte hain har taraf jaise ye ek aur duniya se dar aate hain yahan jaise main un dushmanon mein ghir gaya hun jin ki bhuk mere khun se bujh gai to bujh gai khushk hain lab dam nikalta ja hai dam-ba-dam be-hisi chhae chali jati hai ab main kya karun kya karun waqt ke sahra ka ek zarra hun main biti sadiyon ne jise pala magar aaj main hun un ki aankhon wo khar jis ko us sahra pe koi haq nahin kash waqt wusat-e-sahra mein lae bahr-e-jaulan ka kharosh aur main apne mazi ki murad tut kar ek aur hi sahra ka mazi ban sakun