conweyance kuchh bhi jab nazar aaya na daen baen socha ki aaj hum bhi mini-bus mein baith jaen jaana tha lalu-khet chadhe the sadr se hum rukhsat hue the sar-ba-kafan apne ghar se hum har rah bus ki shahr-e-khamoshan ki rah thi har seat bus ki aakhiri aaram-gah thi raqqas-e-khush-ada ki tarah hil rahi thi bus na-ashna truck se gale mil rahi thi bus footpath se bhi hath milati hui chali thumka qadam qadam pe lagati hui chali purza har ek mazhar-e-chang-o-raubab tha is bus ka ittifaq se bhonpu kharab tha dhili kamaniyon mein tarannum bala ka tha dekha utar ke bus se to jhonka hawa ka tha gane mein thik-thak the chalne mein weak the is mahfil-e-samaa mein pahiye sharik the nazuk samaaton pe sitam dha rahi thi bus ulte suron mein koi ghazal ga rahi thi bus ho to gae the bus mein musafir sab adjust dar tha ki ho na jae kahin tyron mein burst bus mein sikud ke than se chit ho gae the hum purze the aur machine mein fit ho gae the hum jo kuchh bhi mil raha tha liye ja rahe the hum dhakkon ki gend catch kiye ja rahe the hum majbur ho gae the jamil o hasin log murgha bane hue the muazziz-tarin log bus mein misal-e-shakh-e-samar jhuk gae the log khuddar o sar-buland the par jhuk gae the log kuchh shauqiya the kuchh ba-irada jhuke hue azmat-miyan the sab se zyaada jhuke hue aazad taba waqif-e-garaje hi na thi signal ki battiyon ki to muhtaj hi na thi stop se chali to ruki ek dukan mein aakhir use panah mili saeban mein wo log chal diye jo sar-e-rahguzar na the manzil unhen mili jo sharik-e-safar na the