kisi aankh ke papoton ke khulne aur band hone ke darmiyan ek raushni ka aasman apni chhab dikha ke kahin gum ho gaya hai aur main kabhi apni aankh ki putliyon ke jagte hue andheron mein use dhundti hun aur kabhi khuli aankh ke qalam se likhe gae aks mein use tarashti hun magar wo raushni ka aasman mujhe mil nahin raha hai