git kya kya likh gaya kya kya fasane kah gaya nam yunhi to nahin us ka adab mein rah gaya ek tanhai rahi us ki anis-e-zindagi kaun jaane kaise kaise dukh wo tanha sah gaya soz 'mira' ka mila ji ko to mira-ji bana dil-nashin likkhe sukhan aur dhadkanon mein rah gaya dard jitna bhi use bedard duniya se mila shaeri mein dhal gaya kuchh aansuon mein bah gaya ek nai chhab se jiya wo ek ajab dhab se jiya aankh utha kar jis ne dekha dekhta hi rah gaya us se aage koi bhi jaane nahin paya abhi naqsh ban ke rah gaya jo us ki rau mein bah gaya