waqt ka aisa ye jazira hai jahan din aur raat kuchh bhi nahin zehn-o-dil ab hain aise aalam mein hosh-o-be-hoshi mein nahin kuchh farq ajnabiyyat hai ek khala hai ye yahan khud ka pata nahin milta phir bhi kuchh to sunai deta hai chand aawazen aur ek dastak har sada ka kuchh aisa lahja hai jaise dahshat ho dard ho maujud jaise ismat ko koi khatra ho har sada kar rahi hai ye minnat khol do khol do kiwad apne waqt guzra dimagh jag gaya dil ne bhi ye sadaen sun hi lin hum samajhte the tum to shaer ho narm dil hoge mehrban hoge hum ko apne yahan sharan doge main nai jaana ki meri dewdhi par zakhmi haalat mein kuchh pade the khayal kuchh hare zakhm chand taza malal an-sune jumle an-kahe alfaz istiaraat zawiye jazbaat an-chhue kuchh muhaware ilham sab ki aankhon mein tha bas ek sawal kab karoge hamara istiqbaal