mirza ghaalib

fikr-e-insan par teri hasti se ye raushan hua
hai par-e-murgh-e-takhayyul ki rasai ta-kuja

tha sarapa ruh tu bazm-e-sukhan paikar tera
zeb-e-mahfil bhi raha mahfil se pinhan bhi raha

did teri aankh ko us husn ki manzur hai
ban ke soz-e-zindagi har shai mein jo mastur hai

mahfil-e-hasti teri barbat se hai sarmaya-dar
jis tarah naddi ke naghmon se sukut-e-kohsar

tere firdaus-e-takhayyul se hai qudrat ki bahaar
teri kisht-e-fikr se ugte hain aalam sabza-war

zindagi muzmar hai teri shokhi-e-tahrir mein
tab-e-goyai se jumbish hai lab-e-taswir mein

nutq ko sau naz hain tere lab-e-ejaz par
mahw-e-hairat hai surayya rifat-e-parwaz par

shahid-e-mazmun tasadduq hai tere andaz par
khanda-zan hai ghuncha-e-dilli gul-e-shiraaz par

aah tu ujdi hui dilli mein aaramida hai
gulshan-e-wimar mein tera ham-nawa khwabida hai

lutf-e-goyai mein teri ham-sari mumkin nahin
ho takhayyul ka na jab tak fikr-e-kaamil ham-nashin

hae ab kya ho gai hindostan ki sar-zamin
aah ai nazzara-amoz-e-nigah-e-nukta-bin

gesu-e-urdu abhi minnat-pazir-e-shana hai
shama ye saudai-e-dil-sozi-e-parwana hai

ai jahanabaad ai gahwara-e-ilm-o-hunar
hain sarapa nala-e-khamosh tere baam dar

zarre zarre mein tere khwabida hain shams o qamar
yun to poshida hain teri khak mein lakhon guhar

dafn tujh mein koi fakhr-e-rozgar aisa bhi hai
tujh mein pinhan koi moti aabdar aisa bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close