mirza-ghaalib

raazdan-e-zindagi ai tarjuman-e-zindagi
hai tera har lafz zinda dastan-e-zindagi

har tabassum se tere paida fughan-e-zindagi
har fughan teri nashid-e-gulsitan-e-zindagi

gulshan-e-husn-o-wafa ki aabiyari tujh se hai
khak ke zarron ko fakhr-e-taj-dari tujh se hai

daur-e-mustaqbil pe duniya ke nigahen thin teri
rahbar-e-rah-e-amal dil-doz aahen thin teri

sina-e-ilm-e-haqiqat mein panahen thin teri
arsh se bhi aur aage jalwa-gahen thin teri

kaam tha tujh ko na mutlaq hasti-e-nakaam se
thi nawa wabasta teri parda-e-ilham se

falsafe ki khubsurat tarjumani tu ne ki
dasht-e-hu mein aansuon se baghbani tu ne ki

apni aankhon se musalsal khun-fishani tu ne ki
muddaton mulk-e-sukhan par hukmarani tu ne ki

ruh mutlaq jazb thi goya tere ehsas mein
quds ke naghme nihan the parda-e-anfas mein

nutq ko tu ne diya pairaya-e-soz-o-gudaz
khun se kar ke wuzu tu ne padhi aksar namaz

gunj uttha tere naghmon se harim-e-hsun-o-naz
aaj tak mahfuz hai har dil mein tera soz-o-saz

aalam-e-baala se ek paigham-e-nau lata tha tu
ruh ki gahraiyon tak us ko pahunchata tha tu

mai-kada tha tera yaksar soz mutlaq saz bhi
thi mai-a-hindi bhi saghar mein mai-e-shiraaz bhi

tu haqiqat fahm bhi tha aashna-e-raaz bhi
ruh ki aawaz thi goya teri aawaz bhi

naqsh-e-faryaadi hai teri shokhi-e-tahrir ka
kaghzi hai pairahan har paikar-e-taswir ka

aah khak-e-hind mein tu der se khwabida hai
zinat-e-har-bazm tera jalwa-e-na-dida hai

tere gham mein aaj bhi jaan-e-sukhan kahida hai
hai tasarruf tera paida aur tu poshida hai

soz tera aag ban kar bazm par chha jaega
saz-e-hasti hashr tak tere hi naghme gaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close