dekho bachcho main hun mitti ka diya be-haqiqat hun magar hun kaam ka gas batti shama barqi qumqume jitne bhi hain sab hain meri nasl ke khamushi se raat bhar jalta hun main par zaban se uf nahin karta hun main khud jala karta hun auron ke liye dukh saha karta hun ghairon ke liye mujh se hai raushan andheri raat hai meri fitrat mein ye kaisi baat hai jhonpadi mein bhi hai mahfil mein guzar mehrban yaksan hun main har ek par faeda pahunchata hun har ek ko hindu ho muslim ho ya isai ho main samajhta hi nahin hun zat-pat meri nazron mein hai insan ek zat raushni pahunchana mera kaam hai aap ki khidmat mera inam hai