main nahin hun magar ab bhi khilte hain khidki ke daen taraf phul bal khai uljhi hui bel par zindagi ke kisi faisle ki ghadi se ulajhte hue main khurachta raha tha ye roghan jami hai yahan aaj tak nanhe dhabbe mein ek be-kali mere ehsas ki aur qalin par meri pyali se chhalki hui chae ka ek purana nishan ab bhi takta hai matyali aankhon se chhat ki taraf aaj bhi hain padi shelf par jo kitaben kharidi thin main ne bahut pyar se aaj bhi hain jude kaghazon ke hasin aainon mein meri sukhi poron se phute hue kale harfon ke chehre ajab shan se main to hairan hun mujh se mansub har ek shai jun ki tun hai to kya ek main hi tha jo ek main hi tha pani ke sine pe rakha hua naqsh jo pal do pal ko bana aur mit bhi gaya