mohabbat koi numayan nishan nahin jis se lash ki shanakht mein aasani ho jab tak tum mohabbat ko daryaft kar sako wo wan rawana ho chuki hogi jo un lashon ko le jati hai jin par kisi ka dawa nahin shayad wo raste mein tumhaari sawari ke barabar se guzri ho ya shayad tum us raste se nahin aain jis se mohabbat mein mare jaane wale le jae jate hain shayad wo waqt jis mein mohabbat ko daryaft kiya ja sakta tum ne kisi jabri mashq ko de diya patthar ki sil par litaya hua waqt aur intizar ki aakhiri had tak khinchi hui safed chadar tumhaari mashq khatm hone se pahle tabdil ho gae shayad tumhaare pas ittifaqiya rukhsat ke liye koi din aur mohabbat ki shanakht ke liye koi khwab nahin tha us waqt tak jab tum mohabbat ko apne hathon se chhu kar dekh saktin wo wan rawana ho chuki hogi jo un khwabon ko le jati hai jin par kisi ko dawa nahin