mohabbat ahd-o-paiman-e-wafa hai mohabbat hadd-e-imkan-e-wafa hai mohabbat ek kitab aisi hai jis ka har ek unwan unwan-e-wafa hai mohabbat phulne-phalne ki shai hai use pamal sabza mat banao dilon ke qafile chalte hain is par so na-hamwar rasta mat banao ise khilne do apne mausamon mein bahaar-e-ahd-e-rafta mat banao ye hai masum aur nanha parinda use zanjir-basta mat banao ye lahraata hua aanchal hai is ko kisi baadal ka tukda mat banao ye chashme ka mitha saf pani so is pani ko gadla mat banao ye hai aawaz mehdi aur lata ki in aawazon ko murda mat banao mohabbat tez dhup aur barishon mein jo dil wale hain un ka saeban hai mohabbat kuchh na hone par bhi 'ashfaq' dua deti hui sadiyon ki man hai