tumhein july ki unniswin tapti jhulasti dopahar ab yaad kab hogi ki jis ki hiddaten kitne mahinon baad tak hum ne badan ke har dariche par likhi mahsus ki thin aur unhen nazmen samajh kar gungunaya tha tumhaare jism ki pagdandiyon par chalte chalte ek aisa mod aaya tha jahan auham ilhami nazar aate hain aur imkan nakaami mohabbat zabt aawazen samundar dard ban jate hain sare khwab palkon ki hari shakhon se jhule lene lagte hain simat aate hain sare hijr aankhon mein wahin us mod par pahli dafa main ne ye samjha ruh madda hai ki is ki ek kamiyyat hai hajm hai bojh rakhti hai aur us ka bhi badan hota hai jis mein nanhe nanhe aaine yaqut ke manind bante aur bigadte hain tumhein kab yaad hoga tutte kamzor lamhon ke ye bandhan kis qadar mazbut hote hain ki ab main har baras july ki unniswin tapti jhulasti dopahar mein khwab jugnu aur sitare apni aankhon par rakhe mahsus karta hun tumhein chhuta hun palkon se hawa mein ungliyan bhar kar tumhaare kan se sargoshiyan karte hue baalon ko ek tamhid deta hun nigah-e-khwab-aluda ke boson se tumhaare jism ki sari safon par lafz rakhta hun tumhein bharta hun banhon mein tumhaari yaad-e-rafta se wahi lamha utha kar waqt ko sakit banata hun to phir wo mod aata hai jahan auham ilhami nazar aate hain aur ek nazm ki takhliq hoti hai